Khane Ki Cheezon Ko Arabic Me Bolne Waali Zuban Me Ya Fir Yun kahun ki Spoken Laguage Me Kaise Kehte hain yahi Aapko is Post me Bataya Gaya hai Taqreeban 77 Words hai Ji haan Taqreeban Khane Ki 77 Cheezon Ke baare Me Unki Arabic Batayi gayi Images Ke Saath aur Un Images Ke Neeche har Cheez Ke Baare Me Tafseer Se Explain Kiya Gaya Hai
Jab hum kisi Ke Saath Date Par jaate hain To Use Arabic Me ( tamar ) Kaha Jaata Hai
Date Means Tamar in Arabic
EX: Agar aap Bhooke Ho to Aapko Kehna Hoga ( Ana Jau`aan ) aur is tareeke Se Bhi keh Sakte hain ki ( Ana Jaaye`a )
Aur Doodh Se Bani dahi ko Arabic Me ( Laban ) kaha jara hai |
Murgi matlab Chicken ko Arabic Me ( Dajaaj ) Kehte hain Aur Dubai Me Ise ( dayaay ) kehte hai Aur Ise Dajaajah bhi kaha jaata Hai Agar Isme Se Aapko kuck bhi Sunne Ko Mile To Aap Samajh jaiyega Ki aapse Chicken ki baat ki ja rahi hai
Salaata ko Arabic me Bhi Salaat hi kaha jaata hai Jab ki ye ( Salatah ) Hai jaise Ki aap oopar ki Image Me Dekhe Sakte hain Aur Kuch log ya Fir Yun kahu ki Arab Country ke Log Ise (Salatah ) hi kehte Hain|
Machhlii / fish Ko Arabic Me ( Samak Aur Samakah ) bhi kaha Jaata hai|
Drink matlab peene Ko Arabic Me ( Sharaab ) kaha jaata hai Jab ki Urdu me Iska matlab kch Doosra Hi Hota hai | EX: Sharaab Moya - Paani piyo
Raat ke Khaye Jaane KWaale Khane Ko Arabic Me ( Ashaa ) Kehte hain |
Angoor Ko Arabic Me ( Enab ) kaha jaat hai |
Lunch / Doapher Ke Khane Ko Arabic Me ( Ghada ) kaha jaata hai
Fruit Or Fruits ( Fal ) Ko Arabic Me ( Faakeha ) matlab Ki Fruit aur ( Fawaakeh ) Matlab ki Bahot Saare fal
Subah ke nashte yani Breakfast ko Arabic Me ( Futoor ) kaha Jata hai
Coffee Ko Arabic Me ( Coffee ) Hi kaha jaata hai par Kuch log ise ( Gahwah ) Bhi kehte hai lekin Jo real gahwah kaha jata hai Wo Kuch Aur Hota hai Jo ki Laung, Elaichi Adrak , Aur Ek Gahwah ka Khas Powder Hota hai in Sabko ila Kar Gahwah Pakaya jata hai aag par
Gosht / Meat ko Arabic Me ( laham ) kaha jaata hai Aue Bakre ke Gosht ko ( laham Ghanam ) kaha jata Hai
Paani Matlab ki Water Ko Country Vise Bulaaya jaata hai
EX: Dubai me Mayii
Saudi me Moya
Aur Kahi kahi Maa`u Bhi kaha jaata hai Jab ki Jo Correct Hai Wo ( Maa`u ) Hi hai
HaLke Nashte Ko ( Wajabah ) kaha Jaata hai Aur ( Wajabaat )jama hai yaani ki Plural hai jaise ki Humein Flight me Diya jaata hai
How to Say Cucumber in Arabic
Kheera ko Arabic Me ( Kheyyaara ) Kaha jata hai
Pyaaz ko Arabic Me ( basal ) kaha jaata Hai |
How to Say EgginArabic
Anda ko Matlab Egg ko Arabic ( baid ) kaha jaata hai
Tomato ko Arabic Me ( tamaatam )kaha jaata hai isi tarah Tomato Sows Ko Arabic Me
( Salatah Tamaatam ) kaha jaata hai |
How to Say Salt in Arabic |
Salt Yani Namak ko Arabic Me ( Melha ) kaha jaata Hai
How to Say Vegetable in Arabic |
Vegetable ko yani ki Sabzi ko Arabic Me ( Khodaar ) kehte hain jab ki ye ( Khudraa`a ) hai Aur is ki jama yani ki plural hai ( khadrawaat )
How to Say Almond in Arabic |
Almond ko Yani ki Badaam ko Arabic Me ( Loz ) Kehte Hain |
How to Say butter in Arabic
Butter yani makkhan ko Arabic Me ( Zubdah ) Kehte hain
How to Say Cheese in Arabic
Cheeze Ko Arabic Me ( Jubn ya Fir Jubnah ) Dono kaha Jaata Hai
How to Say Candy in Arabic
Candy ko Arabic Me ( halwa ) kehte hain
How To Say Cumin in Arabic
Jeera ko Arabic Me Komon kaha jata hai
How to Say icecream in Arabic
Ice Cream Arabic Me Same istemaal kiya Jaata hai bas ice me aaa ko Thoda Sa Kheecnhte huye Bolte Hain -- aaaes Caream
How To Say Lemon in Arabic
Lemon ko Arabic Me lemoon kaha jaata hai
How to Say Paper in Arabic
Mirchi ko Arabic Me Filfil kaha jata hai
How to Say Plants in Arabic
Ped paudhe ko Arabic Me Do tareeke Se Kaha jaata hai
1 . Shajar ise hum Bolne me Istemaal karte hain
2. nabataat ye shayad h apko kabhi kabhi sunne ko mil sakta hai jab ki sahi yahi hota hai
How to Say Sandwich in Arabic
Sandwich ko Arabic Me Do tareeke Se kehte hain
1. Sandwich ko Same tareeke se kehte hai
2.Shateerah
How to Say Soup in Arabic
Soup ko Arabic Me hAsaa`a kaha Jaata hai
How to Say Sugar in Arabic
Cheeni ko Arabic Me Shukkar kehte hain
Cocuch ko Arabic Me Deek Romii kaha jaata hai
How to Say banana in Arabic
Kela ko Arabic Me Mawz kaha jaata hai
how to Say orange in Arabic
Santare ko Arabic me Burtuqaal kaha jaata hai
Agar Aapko kehna Hai ki 1 kilo Santra Dijiye to Aapkokehna Hoga ki
Jeeb kilo burtuqaal
how to Say peach in Arabic
Peach ko Arabic Me Khawkh kehte hain
How to Say peanut in Arabic
Moongfali ke Daane Jaisa Ek Dabbe me paani ke Saath bhara Hua Shop par Bikta Hai use Kehte hain Fool Sudaanii
How to Say pear in arabic
How toSay pine Apple in Arabic
Anaanaas ko Arabic Me bhi Anaanaas hi kaha Jata hai
How to Say Carrot in Arabic
Gaajar ko Arabic Me Zujur kehte hain
How to Say Corn in Arabic
Makka / Corn Ko Arabic Me Dharra Kehte hain
How To Say Garlic in Arabic
Lehsun / Garlic ko Arabic Me Thowm Kehte Hain
How To Say Lettuce in Arabic
Lettuce ko Arabic Me Khas Kehte hain
How to Say Olives in Arabic
Zaitoon / Olives Ko Arabic me Zaitoon hi kehte hain Jais eUrdu me kaha Jaata hai
How to Say Potatoes in Arabic
Aaloo / Potatoes Ko Arabic Me Bataatas Kehte hain
How to Say Pumpkin In Arabic
Pumpkin ko Arabic me Yaqteen Kehte hai
How to Say Beans in Arabic
Boda / Beans Ko Arabic Me faasoliiyaa Kehte Hai
Chana ko Arabic Me Hammos Kehte hai
Band Gobhi / Tamatar / Sowa Etc Mila kar Salaad Banayi jaati hai use Kehte hain Tabboolah
Sabziyon ko Mila kar Jo Salaad banayi Jaati hai Use Kehte hain Salatah Khudraa`a
Tamatar / Band Gobhi / Paalak jaisi Sabzi jo hoti hai Wo / Shimla Mirch in Sab Ko Mila Kar Jo Salaad Banti hai use Salatah Futoosh Kehte hai
Zatoon ke falo ke Saath Tamaatar Aur Dhaniya mila Kar Bani huyi Salaad Ko Salatah Zaitoon Kehte hai
Dahi ( Laban ) aur Kheera Mila kar Banayi Huyi Salaad Ko Khayyaar Laban Kaha jaata Hai
Aruyi ke patte aur Angoor ( Graphs )ko Ek Saath Mila Kar Rol Banane Ke baad Use Waraq Enab Kehte hai
Kayi tarah ki Sabzi tamatar / kheera / aur Sabzi laban aur bhi kayi Cheezon ko mila kar banane ke baad Muqabbelaat Mushakkal Kehte hai
Kayi Sabziyon ko mila ka Use Aag par Jala kar tayyar ki huyi Sabzi ko Mushakkal Khudaar Furn Kehte hai
Kayi Sabziyon Ko Mila Kar aur Chaho to Gosht bi Mila Kar Bani Huyi Sabzi Jaise Ki hum Ghar par Saalan laga Kar banate hai Us tarah ki Sabzi Ko Mushakkal khudaar Aaydi Kehte hai
Daal ya Chaawal ya Makka ke Saath Laban ya Cheese Mila kar banane par use Jareesh Kaha jata hai
Ladyfinger / Bhindi ko Pees kar Paani banaya Jaata hai Aur use Malookhiyah Kehte Hai
aate ki Roti bana kar Jaise Hum Daal me ka Dulha tayyar Banate hai use Qursaan kehte hai
White Rice / kachcha Chaawal Me bane Khane Ko Tees Mundii bashaawar Kehte hai
Aag par Tayyar ki huye Gosht Ko Nafar laham kehte hai aur Aur Yellow Rice Ko Ruzz Sha`bii Kehte hai
Namak Saath Ubaal kar banaya hua chawal aur usme Gosh ho to Use Kehte hain - Kabsah Laham
Yemnii Chawal Aur gosht ke Saath = Almandii yamnii Billaham
Agar Aapko kehna Hai Ki Khana Achcha Bana Hai to Aapko Arabic Me kehna Hoga = Tabkha Halwa
Agar Aapkokehna Ho Ki khana Kisne Banaya hai to aap kahenge Ki = Manilli Taabikh
Agar Aapkokehna Ho ki Khana maine Banaya hai To Aap kahneg ki = Analli Tabakhna
Khana Banane Wale ko ( Jo khana Banata Hai ) use Arabic Me Kehte hai = Tabbaakh
Agar Aapke Koi Sawalaata Ho Ya Mujhe aapko koi Suggesttion Dena Chahte Ho to please Comment Below Thankyou by Ajkhanphd
Comments